Faasla, humaare yun darmiyaan badh sa gaya hai kyu? Jaanejaan, safar hai adhoora yeh tham sa gaya hai kyu? Faasla, humaare yun darmiyaan badh sa gaya hai kyu? Jaanejaan, safar hai adhoora yeh tham sa gaya hai kyu? Main darta hooon tujhko yun kho na doon Saath tu ho mere tere sang hi chaloon Hai meri tumse Guzaarish Ho hum tum aur yeh Baarish Tum hi ho meri raat aur din Tumhi ko paana meri Khwaahish Hai meri tumse Guzaarish Ho hum tum aur yeh Baarish Tum hi ho meri raat aur din Tumhi ko paana meri, Khwaahish Mere khayalon mein Tu hi rahe har pal Seedi si sadkon pe Yuhin main jaaun fisal Mere khayalon mein Tu hi rahe har pal Meri Chhoti si duniya mein Chhota sa apna ghar Ab in aankhon ko intezaar tera hai Hai veeran ghar mera muntazir yeh tera hai Main darta hooon tujhko yun kho na doon Saath tu ho mere tere sang hi chaloon Pal jo bitaye the teri baahon mein Jeeta hoon main aaj bhi unhi khayalon mein Ab to aa jaao, mere humsafar mere yaar Khwaabon se nikal kar fir se haqeeqat mein ek baar Ab to na sata, paas aa, mujhse nazrein milaa Hai meri tumse Guzaarish Ho hum tum aur yeh Baarish Tum hi ho meri raat aur din Tumhi ko paana meri Khwaahish Hai meri tumse Guzaarish Ho hum tum aur yeh Baarish Tum hi se meri raat aur din Tumhi ko paana meri, Khwaahish